KHas-e-badan Mein Ba-rang-e-sharar Aae Koi
KHas-e-badan mein ba-rang-e-sharar aae koi
chamak uThun main gham-e-ab-dar aae koi
meri nazar mein chamakte hain garm-o-sard jahan
main jaanch lunga zar-e-kam-ayar aae koi
hai zaKHm zaKHm badan sang-e-harf-e-talKH se aaj
kahin se narmi-e-lab ki phuwar aae koi
main jal gaya dil-e-viran ki KHushk wadi mein
faraaz-e-dard se phir aabshaar aae koi
ye dasht-e-tishna-labi chhoD kar main kyun jaun
mere liye to yahin ju-e-bar aae koi
hai zoam-e-shoala to dekhe hawa-e-dard ka zor
charagh hai to sar-e-rahguzar aae koi
ek aur bhi hai jahan is jahan-e-jabr se dur
majal hai to wahan shahryar aae koi
ghanim-e-shab ko main zaKHmon se chur kar aaya
sahar ka aaKHiri neza bhi mar aae koi
Thahar gae hain kahan mere ham-safar 'shahin'
khaDa hun der se jangal ke par aae koi
(783) Peoples Rate This