Jo Barf-zar Chir De Aisi Kiran Bhi La
jo barf-zar chir de aisi kiran bhi la
patthar dilon mein aaj koi kohkan bhi la
is tarah sarsari mera bab-e-wafa na likh
waqt-e-shumar zaKHm mera KHasta-tan bhi la
munsif agar bana hai to sab ko gawara rakh
insaf hai to mera phaTa pairahan bhi la
jalne lage hain pyas se phulon ke KHushk honT
abr-e-bahaar ko zara su-e-chaman bhi la
chup-chap KHalwaton mein pighalne se faeda
koi charagh hai to sar-e-anjuman bhi la
itna wo shadman mujhe achchha nahin laga
is gul ke dil mein dagh ki thoDi jalan bhi la
zaKHm-e-safar ke dard-e-musalsal ka sehr toD
nikla hua watan se gharib-ul-watan bhi la
ye chashm-e-iltifat hi kafi nahin mujhe
mere liye to narmi-e-kaam-o-dahan bhi la
'shahin' se aziz hai apna lahu to kya
nash-e-shahid ke liye KHunin kafan bhi la
(917) Peoples Rate This