Is Tarah Karte Hain Kuchh Log BaDai Uski
is tarah karte hain kuchh log baDai us ki
KHalq us ki hai KHuda us ka KHudai us ki
kya KHabar thi ki yahin wasl ke sae ke qarib
dhup ke beach paDi hogi judai us ki
le gae shauq se marhum ki har shai ahbab
chhoD di taq ke upar hi achchhai us ki
ki hai iflas mein doshiza-e-ummid jawan
ab to bas baiTh ke khani hai kamai us ki
zindagi kaTti hai donon ki musalsal zid mein
qaid hai meri wahi jo hai rihai us ki
mo'atabar nam tha wo phir bhi hawala na diya
jaan bachane ko qasam jhuTi na khai us ki
zindagi sari ganwa dun ye zaruri to nahin
ye bahut hai ki koi baat nibhai us ki
ye mohabbat nahin kuchh aur hai surat 'shahin'
tum maza le ke jo sunte ho burai us ki
(801) Peoples Rate This