Hai Dua HonTon Pe Aur Hain KHwahishen Hathon Ke Bich

hai dua honTon pe aur hain KHwahishen hathon ke bich

kaam duniya ke nikalte hain munajaton ke bich

sard nindon ki musalsal gir rahi hain pattiyan

kuchh safed aur kuchh siyah se KHwab hain raaton ke bich

lamha lamha paDti rahti hai dilon mein ek girah

tewari ek chal rahi hai raat din mathon ke bich

dekhti hai ghaur se har shai ko wo bimar aankh

ek gahra zard ashk hai us ki sab baaton ke bich

jab se nikle hain dilon ke kaam mein ghaTe bahut

hum hisab-e-dostan likhte hain ab khaton ke bich

ab to uThta ja raha hai mausamon se e'tibar

dil kisi sahra mein hai aur jism barsaton ke bich

mujh ko 'shahin' dukh bahut deti hai us ki ye ada

jaise wo hota nahin mil kar mulaqaton ke bich

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Dua HonTon Pe Aur Hain KHwahishen Hathon Ke Bich In English By Famous Poet Javed Shaheen. Hai Dua HonTon Pe Aur Hain KHwahishen Hathon Ke Bich is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Hai Dua HonTon Pe Aur Hain KHwahishen Hathon Ke Bich for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Hai Dua HonTon Pe Aur Hain KHwahishen Hathon Ke Bich in PDF.