Faqat Is Ek Uljhan Mein Wo Pyasa Dur Tak Aaya
faqat is ek uljhan mein wo pyasa dur tak aaya
chamakti ret pichhe thi ki dariya dur tak aaya
mere KHashak mein paDne ko be-kal tha sharar koi
mera daman pakaDne ek shoala dur tak aaya
zara aage gaya to phul bhi the narm sae bhi
nazar to dhup ka ek zard KHitta dur tak aaya
kiya ghaarat mohabbat ki faqat ek tez barish ne
utar kar dil se sab rang-e-tamanna dur tak aaya
KHata kis ki hai tum hi waqt se bahar rahe 'shahin'
tumhein aawaz dene ek lamha dur tak aaya
(867) Peoples Rate This