Ek Aur Siyah Raat Hai Is Raat Se Aage

ek aur siyah raat hai is raat se aage

ab baat nikal jaane ko hai baat se aage

koshish to bahut karta hun khulta hi nahin wo

baiTha hai kahin shak sa mulaqat se aage

dene ko bahut kuchh hai magar waqt-e-saKHawat

hota hi nahin koi meri zat se aage

thi kaisi talab jis ko pakaDne ke junun mein

dil chalta raha chaar qadam hat se aage

han rahat-e-dil jaan-e-nazar honge manazir

dekha hi nahin kuchh basar-auqat se aage

thoDa sa kahin jama bhi rakh dard ka pani

mausam hai koi KHushk sa barsat se aage

yun tark-e-talluq na karo is se bhi 'shahin'

kuchh achchhe marasim nahin haalat se aage

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aur Siyah Raat Hai Is Raat Se Aage In English By Famous Poet Javed Shaheen. Ek Aur Siyah Raat Hai Is Raat Se Aage is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Ek Aur Siyah Raat Hai Is Raat Se Aage for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Ek Aur Siyah Raat Hai Is Raat Se Aage in PDF.