Ek Ajab Wahshat Se Dil Sinon Mein Be-kal Ho Gae

ek ajab wahshat se dil sinon mein be-kal ho gae

chand kya nikla KHushi se log pagal ho gae

dhup se sahme parindon ko aman milti nahin

saKHti-e-mahr-e-KHizan se KHushk jangal ho gae

rah mein chhanw zara si kar gai mujh ko KHarab

do ghaDi rukne se mere panw bojhal ho gae

ab to bharta hi nahin be-ab aainon mein rang

kaun se manzar meri aankhon se ojhal ho gae

be-hisi aaKHir nikal aai mere gham ka ilaj

barf rakhne se mere ghaw sabhi shal ho gae

kya bataun bad-guman dil mein tamannaon ka haal

is zamin-e-shor mein sab peD be-phal ho gae

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ajab Wahshat Se Dil Sinon Mein Be-kal Ho Gae In English By Famous Poet Javed Shaheen. Ek Ajab Wahshat Se Dil Sinon Mein Be-kal Ho Gae is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Ek Ajab Wahshat Se Dil Sinon Mein Be-kal Ho Gae for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Ek Ajab Wahshat Se Dil Sinon Mein Be-kal Ho Gae in PDF.