Dil Mein Shafqat Na Rahe Aankh Ka Pani Na Rahe
dil mein shafqat na rahe aankh ka pani na rahe
ahd mein tere koi chiz purani na rahe
rasm-e-hijrat ko ba-andaz-e-digar zinda rakh
itne viran hon magar shauq-e-makani na rahe
silsila band ho yaron ki mulaqaton ka
subh rangin na rahe sham suhani na rahe
ho sake lauh-e-dil-o-jaan se miTa us ke nuqush
jaane wale ki yahan koi nishani na rahe
tu nadi nale ko har taur baham rakh pani
wo to chahega ki dariya mein rawani na rahe
baat jo dil mein hai khul kar use kah de 'shahin'
kya KHabar kal ko ye aashufta-bayani na rahe
(725) Peoples Rate This