DhunD Rakkhi Hai Meri Wahshat Ne Aasani Meri
DhunD rakkhi hai meri wahshat ne aasani meri
ghar ki haalat hi mein rakh di hai bayabani meri
nam hi ko bas paDega bojh teri jeb par
dekhne ki hai sar-e-bazar arzani meri
hosh hai bas is qadar nairangi-e-haalat mein
do qadam rahti hai aage mujh se hairani meri
husn-e-be-parwa ko KHud se thoDa ghafil dekh kar
mujh ko kya kuchh is ka dikhlati hai uryani meri
wo ajab ek shahr tha jis mein kaTe yun mah o sal
din se main waqif nahin tha shab thi anjaani meri
hai koi jo rakh raha hai roz o shab ka sab hisab
hoti rahti hai kahin par saKHt nigrani meri
har tarah ke mausamon mein mera rakhta hai KHayal
hai koi jo karta rahta hai nigahbani meri
aaj bhi kaj hai usi dhaj se phaTi si ek kulah
tang karti hai abhi tak KHu-e-sultani meri
kis jagah hai wo bacha rakkha hai jis ke waste
ek sajda jo liye phirti hai peshani meri
KHud bana leta hun main apni udasi ka sabab
DhunD hi leti hai 'shahin' mujh ko virani meri
(748) Peoples Rate This