Dhul Se Jab Main AT Jata Hun
dhul se jab main aT jata hun
rah se thoDa haT jata hun
waqt ki dhaar hai mere sar par
roz zara sa kaT jata hun
hun koi malbus purana
jagah jagah se phaT jata hun
jis ke liye hun jitna zaruri
waise hi main baT jata hun
hath mein hai ye kis ke taraazu
taul mein roz hi ghaT jata hun
halka sa ek abr-e-rawan hun
dhup mein jaldi chhaT jata hun
patta bhi hil jae kahen to
Dar se KHud main simaT jata hun
bahas ghalat hone par 'shahin'
aap hi pichhe haT jata hun
(664) Peoples Rate This