Daman-e-shab Mein Chand Ka Manzar Bhi Dekh Le
daman-e-shab mein chand ka manzar bhi dekh le
sone se pahle kamre se bahar bhi dekh le
in mausamon ki rah mein yun be-KHabar na baiTh
rahta hai kaun kaun safar par bhi dekh le
gum-sum rakhegi tujh ko kahan tak wo ek yaad
munh se haTa ke maili si chadar bhi dekh le
dhundla rahi hai der se sham-e-badan ki lau
koi ghubar sans ke andar bhi dekh le
aabaad zer-e-ab hain Dube hue nagar
yaadon ke paniyon mein utar kar bhi dekh le
fursat mile to khol chhupe KHwahishon ke raaz
gunjaan jangalon se guzar kar bhi dekh le
'shahin' badan bhi zer kiya jaan bhi zer kar
dasht-e-bala se aage samundar bhi dekh le
(868) Peoples Rate This