ChaDha Pani Zara Tu Apne Dhaare Se Nikal Aaya
chaDha pani zara tu apne dhaare se nikal aaya
achanak ek jagah dariya kinare se nikal aaya
bahut raushan tha wo aur aaKHir-e-shab ke ufuq par tha
mere hi samne din us sitare se nikal aaya
mujhe apne badan ka KHas jalana tha zamistan mein
mera ye kaam dil hi ke sharare se nikal aaya
tah-e-dariya paDe rahna tha main ne bhi guhar-surat
thi mauj-e-tund ek jis ke sahaare se nikal aaya
safar ko ek jagah se kar liya kuchh lamba aur mushkil
ghalat rasta tha wo jis ke ishaare se nikal aaya
hisab-e-dostan karne hi se malum ye hoga
KHasare mein hun ya ab main KHasare se nikal aaya
bahut mushkil tha kuchh us husn ki tarif mein kahna
mera matlab magar ek istiare se nikal aaya
zamin-e-dil ko bas thoDe se pani ki zarurat thi
ye pani ek guzarte abr pare se nikal aaya
mujhe phir qaid kar lena tha us ke husn ne 'shahin'
munasib waqt par main ek nazare se nikal aaya
(926) Peoples Rate This