Bagule Bahut Hain Meri Ghat Mein
bagule bahut hain meri ghat mein
ghira hun ajab dasht-e-haalat mein
kabhi KHun se rangin bhi ho chashm-e-tar
dhanak bhi nazar aae barsat mein
kisi dard ki aanch de kar parakh
chamakti hai ek shai meri zat mein
lakiron ka har silsila be-karan
khule paniyon ka safar hat mein
wahi teri aankhon ke hairat-kade
wahi main jahan-e-tilismat mein
siyah ghar ki bimar zau se nikal
zara ghum-phir chandni-raat mein
bichha hai kahin zehn mein dam sa
phaDakta hai koi KHayalat mein
baja narmi-e-lafz 'shahin' magar
liye phir koi sang bhi hat mein
(911) Peoples Rate This