Aashna Kitna Zaban Ko Be-zabani Se Kiya
aashna kitna zaban ko be-zabani se kiya
zindagi karne ko kya kuchh zindagani se kiya
mausam-e-gul mein kiya malbus banne ka amal
be-libasi ka amal barg-e-KHizani se kiya
kaun hai wo jis ne banjar KHushk KHitton ka ilaj
dekhte hi dekhte ek sada pani se kiya
subh ke jage masafat se thake dariya ne phir
sham hote hi talluq kam rawani se kiya
ye wahi tha kaise pahchana use muddat ke baad
main ye pal bhar mein usi ki ek nishani se kiya
rog thi 'shahin' zamin ki tangi-e-paiham mujhe
ye mudawa main ne bas naql-e-makani se kiya
(849) Peoples Rate This