Aankh Mein Kitne Tilismat-e-jahan Paoge
aankh mein kitne tilismat-e-jahan paoge
KHun rangin hai to sau rang yahan paoge
ho faraghat to zara jhaDu KHayalon ke shajar
shaKH-saron pe bahut barg-e-KHizan paoge
yun sambhaale na phiro dil mein shikasta shishe
kirchiyan bikhrin to rag rag mein rawan paoge
mauj-e-reg-e-daraKHshan ke taaqub mein raho
in sarabon hain mein pani ka nishan paoge
ye KHaraba hi sahi is se na bahar niklo
chhoD kar dil ko kahin phir na aman paoge
rishta-e-tar-e-nazar se hai ujalon ka bharam
aankh jhapki to koi aur saman paoge
sans uljhi hui aati hai to hai kis ki KHata
aag andar hai to andar hi dhuan paoge
kis qadar shor hai logon se bhari galiyon mein
ghaur se dekho bahut KHali makan paoge
dasht-e-dil hi se koi chashma nikalo 'shahin'
KHushk-sali mein yahan pani kahan paoge
(748) Peoples Rate This