Tera Niyaz-mand Hun Niyaz Ke Baghair Bhi
tera niyaz-mand hun niyaz ke baghair bhi
dalil ke baghair bhi jawaz ke baghair bhi
misal kya ki sar-ba-sar tera wajud shaeri
kalam ke baghair bhi bayaz ke baghair bhi
teri talab ka fasla KHalish ne tai kara diya
suluk ke baghair bhi lihaz ke baghair bhi
guzar rahi thi zindagi guzar rahi hai zindagi
nasheb ke baghair bhi faraaz ke baghair bhi
teri nigah-e-KHud-nigar dilon ko mat kar gai
laDai ke baghair bhi mahaz ke baghair bhi
rawa hai ishq mein rawa magar ye sajda-e-wafa
azan ke baghair bhi namaz ke baghair bhi
(990) Peoples Rate This