Sab Ka Dildar Hai Dildar Bhi Aisa Waisa
sab ka dildar hai dildar bhi aisa waisa
ek mera yar hai aur yar bhi aisa waisa
dushman-e-jaan bhi nahin koi barabar us ke
aur mera hashiya-bardar bhi aisa waisa
be-talluq hi sahi us ko magar hai mujh se
ek sarokar sarokar bhi aisa waisa
us ka lahja ki bahut sada o masum sahi
hai fusun-kar fusun-kar bhi aisa waisa
'zauq' se us ko aqidat hai ki allah allah
aur 'ghaalib' ka taraf-dar bhi aisa waisa
kya zamana tha ki jab ahl-e-hawas ke nazdik
koi meyar tha meyar bhi aisa waisa
main bhi tamsil-nigari mein bahut aage tha
wo bhi fankar tha fankar bhi aisa waisa
koi uftad paDi thi ki abhi tak chup tha
ek suKHan-kar suKHan-kar bhi aisa waisa
ek thi jurat-e-inkar ki aisi waisi
ek darbar tha darbar bhi aisa waisa
jis ka shahon ki nazar mein koi kirdar na tha
ek kirdar tha kirdar bhi aisa waisa
ek israr tha israr bhi baiat ke liye
ek inkar tha inkar bhi aisa waisa
(1386) Peoples Rate This