Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_13e8e9998bff7708eae97873a6ae6289, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye KHalaf Ka Wada Hai - Javed Nasir Poetry In English - Darsaal

Ye KHalaf Ka Wada Hai

aKHtaruzzaman nasir

waqt jaise roya ho

dhup narm lahje mein jaise aaj goya ho

dur koi masjid mein

bich asr o maghrib ke

jaise khoya khoya ho

aKHtaruzzaman nasir

main tumhaari aankhon se dekhta tha duniya ko

main tumhaare hathon se zindagi ko chhuta tha

main tumhaare qadmon se napta tha raston ko

main tumhaari sanson se sunghta tha KHushbu ko

main tumhaara manzar tha

be-sada samundar tha

sar pe aasman tum the

han mera bayan tum the

aur meri dharti mein chahaten tumhaari thin

aadaten tumhaari thin

din tumhaare lahje ki chhanw mein guzarte the

zindagi se laDte the zindagi se Darte the

aKHatruzzaman nasir

jaane kyun hua badli charKH ne bhi ruKH badla

dur masjid-e-jaan se kyun azan-e-dil ubhri

sajda-e-talab chamka

harf-e-kunj-e-lab chamka

din ghurub hote hi zauq-e-muntaKHab chamka

kash ye nahin hota kash main wahin hota

aKHtaruzzaman nasir

main kisi tamaddun ka aaKHiri musafir hun

main hazar KHwabon ki dauD-dhup mein shamil

main hazar jazbon ki rel-pel ka aadi

main hazar hathon se zindagi banata hun

main hazar qadmon se raston pe chalta hun

main hazar shanon pe karwaTen badalta hun

main hazar aankhon se manzaron mein Dhalta hun

main asir duniya ka

main basir farda ka

main waraq hun mazi ka

waqt hai munadi ka

Darte Darte kahta hun main bhi ek shaer hun

aKHtaruzzaman nasir

ye safar jo jari hai kaun is ka jada hai

kaun is ki manzil hai

lauTna bhi mushkil hai

main to jaise bhar paya aur ek dar paya

roz-o-shab ka halqa hai

main bhi ek qaidi hun

subh ka andhera hun

sham ki safedi hun

aKHtaruzzaman nasir

naukri hai sarkari

badtarin samjhauta, badtarin dushwari

aaj mere hathon mein tir hain na patthar hain

aaj meri aankhon mein KHwab hain na manzar hain

main sag-e-malamat ki sun raha hun aawazen

roz-o-shab ke narghe se bhagna bhi mushkil hai

aur aise aalam mein

farz-e-ain wajib hai

shughl-e-mai bhi jaez hai

aKHtaruzzaman nasir

hukm mujh ko azbar hai

tin nannhi dhupen hain

wo nafis paikar hai

jin ke sath jina hai

dhup hai to sahni hai

bas yahi guzarish hai

ek chhoTi tabdili

sirf itni KHwahish hai

aKHtaruzzaman nasir

e'tidal lazim hai

ye KHalaf ka wada hai

dur hai KHuda lekin

tosha-e-saadat hai

raushni ka jada hai

(872) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye KHalaf Ka Wada Hai In English By Famous Poet Javed Nasir. Ye KHalaf Ka Wada Hai is written by Javed Nasir. Read famous Poem Ye KHalaf Ka Wada Hai for youth and Student by Javed Nasir. Free Download Ye KHalaf Ka Wada Hai in PDF.