Baatin
daur-e-hazir ke tum
ek sharminda insan ho
main jo chiKHa to meri ana TuT kar
jangalon ki tapish ban gai
dastan ki KHalish ban gai
qahqahe be-sada qahqahe
makDiyon ki faza mein uDate rahe
tez mazbut qaumon ke naraaz qisse sunate rahe
main pareshan
nindon ke baadal haTa kar
bujhi raat ke sada parde uTha kar
jo KHeme se nikla to aawaz aai
abhi tum ne duniya bhi dekhi nahin hai
(931) Peoples Rate This