Baad-az-KHuda
charag hai, kitab hai sawal hai, jawab hai
ki aasman munDer hai ki ye zamin bhi Dher hai
kisi ka koi nam hai na zindagi mudam hai
magar wo ek shaKHs hai jo dhup ki kagar hai
jahan ka us pe bar hai
chale chalo ki waqt hai, azab kitna saKHt hai
magar wo kab zawal hai, wo mausamon ki shaal hai
pahan rahi hai sham bhi badal rahi hai raat bhi ki ug raha hai aasman ki dhul rahi hai phir sahar
charag hai, kitab hai, sawal hai, jawab hai
magar hain log aaj kal
na is taraf na us taraf na is taraf na us taraf
(745) Peoples Rate This