AahaT Bhi Agar Ki To Tah-e-zat Nahin Ki
aahaT bhi agar ki to tah-e-zat nahin ki
lafzon ne kai din se koi baat nahin ki
izhaar na aankhen na tahakkum na qarina
lahje ne bhi arse se mulaqat nahin ki
israr tha mathe pe na aankhon mein nami thi
tum ne to riayat bhi mere sath nahin ki
tartib diya us ke liye shor-e-ana ko
hum ne bhi kai din se bahut raat nahin ki
do chaar hawaon ke qadam dhup ke chhinTe
'jawed' ne sheron mein nai baat nahin ki
(719) Peoples Rate This