Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ca255108bc7b04d55dd63d39a3a98360, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Bhi Aage BaDhun Aur BhiD Ka Hissa Ho Jaun - Javed Naseemi Poetry In English - Darsaal

Main Bhi Aage BaDhun Aur BhiD Ka Hissa Ho Jaun

main bhi aage baDhun aur bhiD ka hissa ho jaun

is se achchha to yahi hai ki main tanha ho jaun

pyas ko meri jo ek jam na de paya kabhi

tishnagi us ki ye kahti hai main dariya ho jaun

mujh ko jakDe hue rishton ki haqiqat mat puchh

bas chale mera agar to main akela ho jaun

le ke jaun kahan ehsas-e-wafadari ko

dil to kahta hai ki main bhi tere jaisa ho jaun

ho kisi taur to duniya ki tawajjoh mujh par

ek do pal ke liye main bhi tamasha ho jaun

dil ki majburi ajab chiz hai warna 'jawed'

kaun chahega bhala KHud ki main ruswa ho jaun

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Bhi Aage BaDhun Aur BhiD Ka Hissa Ho Jaun In English By Famous Poet Javed Naseemi. Main Bhi Aage BaDhun Aur BhiD Ka Hissa Ho Jaun is written by Javed Naseemi. Read famous Poem Main Bhi Aage BaDhun Aur BhiD Ka Hissa Ho Jaun for youth and Student by Javed Naseemi. Free Download Main Bhi Aage BaDhun Aur BhiD Ka Hissa Ho Jaun in PDF.