Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6de95f532acecc3421799511f0ec1a59, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Roz Ki Hai Baat Wahi Baat Karo Ho - Javed Naseemi Poetry In English - Darsaal

Jo Roz Ki Hai Baat Wahi Baat Karo Ho

jo roz ki hai baat wahi baat karo ho

bekar hi yaro gham-e-haalat karo ho

ek mujh se hi milne ko tumhein waqt nahin hai

auron pe to aksar hi inayat karo ho

ye tarz-e-takallum tumhein aaya hai kahan se

honTon se jo ye phulon ki barsat karo ho

kyun chand se chehre pe gira rakhi hain zulfen

kyun din ko amawas ki siyah raat karo ho

be-wahm-o-guman rah mein mil jate ho aksar

danista kahan mujh se mulaqat karo ho

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Roz Ki Hai Baat Wahi Baat Karo Ho In English By Famous Poet Javed Naseemi. Jo Roz Ki Hai Baat Wahi Baat Karo Ho is written by Javed Naseemi. Read famous Poem Jo Roz Ki Hai Baat Wahi Baat Karo Ho for youth and Student by Javed Naseemi. Free Download Jo Roz Ki Hai Baat Wahi Baat Karo Ho in PDF.