Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0c170926c64a4f27e0c0603f8227402e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Kis Ke Aasman Ki Hadon Mein Chhupa Hun Main - Javed Nadeem Poetry In English - Darsaal

Ye Kis Ke Aasman Ki Hadon Mein Chhupa Hun Main

ye kis ke aasman ki hadon mein chhupa hun main

apni zamin se uTh ke kahan aa gaya hun main

baadal mein chhup gaya hai jo suraj tu hi to tha

jo jal raha hai ghar mein wo raushan diya hun main

jaega tu jahan bhi rahunga main tere sath

tu abr-e-be-niyaz to bahti hawa hun main

rah kar bhi har maqam pe dikhta nahin hai kyun

kab KHud ko apne-ap mein aaKHir mila hun main

tere azal abad ke kinaron ke darmiyan

karti hai bazgasht jo aisi sada hun main

phir yun hua ki raushni had se siwa hui

KHurshid-e-zau-fishaar tha dekho bujha hun main

hota zafar qarar jo nashtar nahin hua

'jawed' dasht-e-sher mein be-dast-o-pa hun main

(920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kis Ke Aasman Ki Hadon Mein Chhupa Hun Main In English By Famous Poet Javed Nadeem. Ye Kis Ke Aasman Ki Hadon Mein Chhupa Hun Main is written by Javed Nadeem. Read famous Poem Ye Kis Ke Aasman Ki Hadon Mein Chhupa Hun Main for youth and Student by Javed Nadeem. Free Download Ye Kis Ke Aasman Ki Hadon Mein Chhupa Hun Main in PDF.