Thi Chaal Hashr Mein Bhi Qayamat Huzur Ki
thi chaal hashr mein bhi qayamat huzur ki
sach puchhiye to jhenp gai aankh hur ki
sach hai ki raaz-e-wasl chhupana nahin hai sahl
main kya kahun jo kahti hai chitwan huzur ki
jaane se dil ke kyun na ho viran bazm-e-aish
shab bhar isi se rahti thi baaten huzur ki
ghash aaj aa gaya hai KHuda jaane kal ho kya
musa ab aur sair karo koh-e-tur ki
jannat mein puchhte hue 'jawed' hum chale
dukan kis taraf hai sharab-e-tahur ki
(726) Peoples Rate This