Pyasi Thi Ye KHud Mere Lahu Ki
pyasi thi ye KHud mere lahu ki
thi tez chhuri rag-e-gulu ki
dil kho ke na main ne justuju ki
samjha tha ki bund thi lahu ki
tum pas jo aae kho gae hum
jab tum na mile to justuju ki
sab zaKHm ke Tanke sath TuTe
hajat na rahi koi rafu ki
KHud kho gae hum jahan mein aaKHir
is had pe kisi ki justuju ki
dekha ki zamin se aag nikli
jab bund Tapak paDi lahu ki
roi wahan shama yan hanse phul
wo qabr meri thi ye adu ki
wo samne aae ghash hue ye
musa ki nazar kahan pe chuki
tiron pe kisi ke banT bhi dun
khai thi qasam isi lahu ki
is dagh ko main ne dil mein rakkha
dushman ne na jis ki aarzu ki
'jawed' wo lash kyun uThaen
marzi bhi to puchh len adu ki
(712) Peoples Rate This