Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6fec9df83b97074152fde57d342b3ee2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhko Jine Se Faeda Bhi Nahin - Javed Lakhnvi Poetry In English - Darsaal

Mujhko Jine Se Faeda Bhi Nahin

mujh ko jine se faeda bhi nahin

aur phir marzi-e-KHuda bhi nahin

nahin malum kya main kahta hun

tum nahin ho to kya KHuda bhi nahin

maut ab zindagi bhi hai mujh ko

jab mere dard ki dawa bhi nahin

sar-e-baalin wo muskuraate hain

meri taqdir mein shifa bhi nahin

jhilmilata hai subah ka tara

ab to jine ka aasra bhi nahin

dar-e-dildar paun kiya 'jawed'

kahin do-chaar naqsh-e-pa bhi nahin

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Jine Se Faeda Bhi Nahin In English By Famous Poet Javed Lakhnvi. Mujhko Jine Se Faeda Bhi Nahin is written by Javed Lakhnvi. Read famous Poem Mujhko Jine Se Faeda Bhi Nahin for youth and Student by Javed Lakhnvi. Free Download Mujhko Jine Se Faeda Bhi Nahin in PDF.