Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dc495c91f3539a8070935535b85185d0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Andhere Se Ghabrae Raushni Se Kabhi - Javed Lakhnvi Poetry In English - Darsaal

Kabhi Andhere Se Ghabrae Raushni Se Kabhi

kabhi andhere se ghabrae raushni se kabhi

kabhi bujhae charagh aur kabhi jalae charagh

wo bujhte dil ko na dekhen kisi ke KHub hai ye

wo munh ko pher len jis waqt jhilmilae charagh

lahad pe chal ke hawa gar bujhati hai to bujhae

tumhaara ho chuka ehsan ki KHud jalae charagh

lahad pe bu-e-wafa aa rahi thi waqt-e-sahar

kahin kahin jo paDe hain jale-jalae charagh

ek aah-e-garm se turbat mein kaam lene do

yunhi jalae isi tarah se bujhae charagh

jo tha to bas wahi dil-soz bhi tha ai 'jawed'

kisi ne dil na jalaya yahan siwae charagh

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Andhere Se Ghabrae Raushni Se Kabhi In English By Famous Poet Javed Lakhnvi. Kabhi Andhere Se Ghabrae Raushni Se Kabhi is written by Javed Lakhnvi. Read famous Poem Kabhi Andhere Se Ghabrae Raushni Se Kabhi for youth and Student by Javed Lakhnvi. Free Download Kabhi Andhere Se Ghabrae Raushni Se Kabhi in PDF.