Ek Muddat Se Dard Kam Kam Hai
ek muddat se dard kam kam hai
jaane kis baat ka mujhe gham hai
jaane kyun dil ko be-qarari hai
jaane kyun aaj aankh pur-nam hai
wusat-e-tishnagi hai be-payan
aur pine ko sirf shabnam hai
teri aankhon ko chum lun lekin
kya karun dil ka hausla kam hai
husn ki mumlikat bahut mahdud
ishq ke sath ek aalam hai
sath hun tere ai gham-e-dauran
zulf-e-jaanan agarche barham hai
(695) Peoples Rate This