Kya Nigahon Ne Koi KHwab Sajaya Na Kabhi
kya nigahon ne koi KHwab sajaya na kabhi
kya kisi ko bhi qarib apne bulaya na kabhi
aate rahne ke liye shukriya ai yaad ki dost
main hi mujrim hun teri yaad mein aaya na kabhi
us ki album mein to taswir meri hai maujud
us ne taswir ko sine se lagaya na kabhi
main tujhe kaise bata deta dil-e-naz ka haal
haal-e-dil main ne to KHud ko bhi bataya na kabhi
dil chura kar mera kahta hai mujhe chor ye ab
KHud hi chori hua us ne to churaya na kabhi
qahqahe auron ki KHushiyon mein rahe hain shamil
mere haalat ne KHud mujh ko hansaya na kabhi
main ne auron se suna hai ki nasim aati hai
kyun mujhe waqt-e-sahar us ne jagaya na kabhi
teri 'jawed' ye aadat hai KHuda ko bhi pasand
tu ne nazron se kisi ko bhi giraya na kabhi
(827) Peoples Rate This