Karta Hai Bekar Ki Baaten Kaam Ki Koi Baat Nahin
karta hai bekar ki baaten kaam ki koi baat nahin
ghairon jaisi baat hai teri apnon jaisi baat nahin
jam sabhi ke hathon mein hai hath hamare KHali hain
khullam-khulla na-insafi saqi achchhi baat nahin
mahfil mein jis ko bhi dekho ruTha ruTha lagta hai
kaDwahaT hai aawazon mein koi miThi baat nahin
kalima tera sapna tera fikr teri aur tera KHayal
sirf teri hi baat zaban par aur kisi ki baat nahin
kahne ko to kah di tu ne apne dil ki sari baat
sachchai hai lekin ye ki ye bhi sari baat nahin
kaise milen hum tum se yaro kaise bulaen ghar apne
gham hi gham hain pas hamare koi KHushi ki baat nahin
na-insafi har jaanib hai har su zulmat hi zulmat
dekh ke ye sab kyun sab chup hain kahte haq ki baat nahin
pahle kya kya kuchh kah Dala phir ye kah kar saf gae
kar Dali hai bhul zaban ne sochi-samjhi baat nahin
tere liye hi jita hun aur tere liye hi marta hun
munh dekhi 'jawed' hain baaten dil se nikli baat nahin
(800) Peoples Rate This