Kaisa Saman Kaisi Manzil Kaisi Rah Kaisa Safar
kaisa saman kaisi manzil kaisi rah kaisa safar
ham-safar hi jab nahin hai kaise phir hoga safar
nafs-e-ammara se nafs-e-mutmainna tak ki rah
aatishin mausam zamin pur-KHar aur tanha safar
hasrat-e-didar aisi faisla-kun thi meri
lamhe bhar mein ho gaya ek umr sa lamba safar
pahle manzil samne thi ab nazar se dur hai
jaane kaise kya hua kis moD par bhaTka safar
in chaTanon mein kahan ye hausla roken mujhe
karta hun 'jawed' main bhi surat-e-dariya safar
(806) Peoples Rate This