Jaisi Hai Badan Mein Gul-ruKH Ke Waisi Hi Nazakat Baaton Mein
jaisi hai badan mein gul-ruKH ke waisi hi nazakat baaton mein
honTon mein hai jitni shirini utni hi halawat baaton mein
kya KHub tawazun chalne mein kya KHub latafat hansne mein
kya KHub adaon mein shoKHi kya KHub shararat baaton mein
aankhon mein hai nashsha sa chhaya ruKHsar hue surKHi mail
honTon pe larazte hain arman pur-kaif hararat baaton mein
zinat ka tariqa kya kahne fashion ka saliqa kya kahne
aadab ki rangat kaamon mein ashaar ki nikhat baaton mein
betab hain jis ko sunne ko wo baat na laenge lab par
mashur wo rakkhenge phir bhi aisi hai nafasat baaton mein
parwaz mein hasti ki hum ko kitni hi bulandi ho hasil
aae na mizajon mein sheKHi aae na raunat baaton mein
hal sare masail ho jaen aapas ki kudurat miT jae
ho jhuT se sab ko be-zari ho rang-e-sadaqat baaton mein
is daur ke shaer mein logo tahzib o shuur o soz kahan
mear wahi hai sheron ka jaisi hai jihaalat baaton mein
'jawed' ajab ahbab tere karte hain ye zaea waqt tera
hain ilm se koson dur magar phir bhi hai tawalat baaton mein
(880) Peoples Rate This