Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0a31e8891c5bf6c8a9e93a6aff9a38f0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hosh Us Ka Hai Be-KHudi Uski - Javed Jameel Poetry In English - Darsaal

Hosh Us Ka Hai Be-KHudi Uski

hosh us ka hai be-KHudi us ki

zindagi ki har ek ghaDi us ki

dur tak malgaja sa sannaTa

aur aahaT kabhi kabhi us ki

ishq mera hai sufiyon jaisa

sirf matlub hai KHushi us ki

dil ko honTon se dur rakhta hai

mar Dalegi KHamushi us ki

tirgi chha rahi hai har jaanib

bewafai hai sham si us ki

dekh kar KHush-guman hua hai dil

garm-joshi kamal ki us ki

ham-safar jis ka KHub-sirat ho

KHub-surat hai zindagi us ki

KHwab mein dil-nawaziyan 'jawed'

aur haqiqat hai be-ruKHi us ki

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hosh Us Ka Hai Be-KHudi Uski In English By Famous Poet Javed Jameel. Hosh Us Ka Hai Be-KHudi Uski is written by Javed Jameel. Read famous Poem Hosh Us Ka Hai Be-KHudi Uski for youth and Student by Javed Jameel. Free Download Hosh Us Ka Hai Be-KHudi Uski in PDF.