Hayat DauDti Hai Umr Bhar Qaza Ki Taraf
hayat dauDti hai umr bhar qaza ki taraf
jaza-e-KHair ki jaanib ki phir saza ki taraf
maqam-e-fikr hai ye samt-e-fikr Thik nahin
safar hai tez magar hai kahan KHuda ki taraf
rahe miyana-rawi hai yahi tariqa-e-adl
jhuken na sifr ki jaanib na intiha ki taraf
na jaane kaisa hai ye irtiqa zamane ka
ki lauT lauT ke jata hai ibtida ki taraf
ye kaisi ja hai jahan hai hawa bhi masnui
nikal ke bhag chalo qudrati faza ki taraf
maraz shifa ki taDap mein qadam uThata hai
kabhi dawa ki taraf aur kabhi dua ki taraf
pukarna hai tera kaam kaam kar 'jawed'
palaT ke aaegi duniya teri sada ki taraf
(759) Peoples Rate This