Har Chehra Na Jaane Kyun Ghabraya Hua Sa Hai
har chehra na jaane kyun ghabraya hua sa hai
bechain sa lagta hai taDpaya hua sa hai
kya dhoka naya koi khaya hai mohabbat mein
har uzw-e-badan us ka tharraya hua sa hai
aaankhon mein chamak si hai ruKHsar mein surKHi si
aaghosh mein ulfat ki sharmaya hua sa hai
khilne ki tamanna thi zulfon ke gulistan mein
dil TuT gaya gul ka murjhaya hua sa hai
khulne mein qabahat hai gesu-e-mohabbat ko
chehra shab-e-hasrat ka pathraya hua sa hai
alfaz ki aaankhon se barsat hai ashkon ki
lahja gham-e-jaanan se bharraya hua sa hai
nafrat ki shuaon ki yalghaar hai har jaan par
jis qalb mein bhi jhanko kumhlaya hua sa hai
ilhad ka hamla hai 'jawed' har ek jaanib
aalam ka ye aalam hai paglaya hua sa hai
(1064) Peoples Rate This