Hain Mere Wajud Mein Maujzan Meri Ulfaton Ki Nishaniyan
hain mere wajud mein maujzan meri ulfaton ki nishaniyan
na huin nasib jo qurbaten unhin qurbaton ki nishaniyan
thaki haari shakl niDhaal si kisi imtihan ke sawal si
mere jism-o-jaan pe sabt hain teri furqaton ki nishaniyan
kabhi aankhen ghaiz se tar-ba-tar kabhi lan-tan zaban par
mujhe meri jaan se aziz hain teri nafraton ki nishaniyan
ho wo bu-e-gul ki ho ragni ho wo aabshaar ki chandni
hain qadam qadam pe saji huin teri nuzhaton ki nishaniyan
kai bar roz kai jagah meri ruh paDhti hai fatiha
mere pure jism mein dafn hain meri hasraton ki nishaniyan
kahin nachti huin mastiyan kahin bhuk se hain laDaiyan
kahin daulaton ke muzahire kahin ghurbaton ki nishaniyan
wo zamin ho ki ho aasman wo pahaD hon ki hon wadiyan
hain chahaar samt mere KHuda teri rahmaton ki nishaniyan
(863) Peoples Rate This