Daim Ho Uske Husn Ki Nuzhat KHuda Kare
daim ho us ke husn ki nuzhat KHuda kare
aur mujh mein ye junun ki lazzat KHuda kare
sanjidgi ka rang ho thoDa sa pyar mein
baqi magar ho rang-e-shararat KHuda kare
muddat se koi tir na KHanjar na sang-o-KHisht
dushman ho mera zinda salamat KHuda kare
ghamgin hun latife hain phir bhi zaban par
qaem rahe ye zauq-e-zarafat KHuda kare
poshida hain gunahon mein barbaadiyon ke raaz
nazil ho dil pe harf-e-nadamat KHuda kare
majmea ki kaifiyat ka manzar ajib tha
baDhta rahe ye zor-e-KHitabat KHuda kare
kahte hain apni auron ki sunte nahin hain log
ho jae kash shauq-e-samaat KHuda kare
kahte hain ahl-e-din ki taqwa hi din hai
wo jaan jaen kash iqamat KHuda kare
meri dua yahi hai sharik-e-safar ke sath
aa jae hum ko husn-e-nizamat KHuda kare
taKHliq hai bulandi-e-afkar ki ata
aae tere kalam mein rifat KHuda kare
har shaKHs kash sikh le aadab pyar ke
dil mein na ho kisi ke kudurat KHuda kare
'jawed' chhin sakta hai kya koi us ka rizq
jis shaKHs ki hamesha kifalat KHuda kare
(973) Peoples Rate This