Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e40d5de754f75deb6453133b432cee7b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tera Dukh Aur Aanhken Bharne Wala Main - Javed Ikram Farooqi Poetry In English - Darsaal

Tera Dukh Aur Aanhken Bharne Wala Main

tera dukh aur aanhken bharne wala main

teri KHatir sab kuchh karne wala main

KHushbu ban kar jis mein palne wala tu

ek zara purwai, bikharne wala main

teDhi-meDhi rah banane wala tu

kabhi na thakne roz guzarne wala main

tanhai mein chhoD ke jaane wala tu

tanhai se kabhi na Darne wala mein

sat samundar par bulane wala tu

sat samundar par utarne wala main

lamha lamha roz sanwarne wala tu

lamha lamha lamha roz bikharne wala main

meri shikayat roz karane wala tu

teri shikayat roz mukarne wala main

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Dukh Aur Aanhken Bharne Wala Main In English By Famous Poet Javed Ikram Farooqi. Tera Dukh Aur Aanhken Bharne Wala Main is written by Javed Ikram Farooqi. Read famous Poem Tera Dukh Aur Aanhken Bharne Wala Main for youth and Student by Javed Ikram Farooqi. Free Download Tera Dukh Aur Aanhken Bharne Wala Main in PDF.