Sahar Hi Aai Na Wo Shahid-e-sahar Aaya
sahar hi aai na wo shahid-e-sahar aaya
ghubar-e-shab ka musafir hi mere ghar aaya
thakan ki dhup Dhali bhi nahin thi sar se abhi
azab-e-hukm-e-safar mujh pe phir utar aaya
diya jalate hue hath kanpte kyun hain
kahan se KHauf badan mein hawa ka dar aaya
ye lamha lamha bikharti hui ana ka wajud
na ye zamin na wo aasman nazar aaya
rida rahi na badan par koi qaba shadab
ye kaun dhup mein dekho barahna-sar aaya
badan tamam hua hai lahu-luhan mera
nai ruton ka musafir ba-chashm-e-tar aaya
bahut aziz hai apne watan ki KHak hamein
jo KHwab aankhon mein aaya wo mo'tabar aaya
(811) Peoples Rate This