Bujhti Hui Aaankhon Ki Umidon Ka Diya Hun
bujhti hui aaankhon ki umidon ka diya hun
main tez hawaon ki hatheli pe rakha hun
main apni hi aawaz ki pahchan mein gum hun
tanhai ke sahra mein daraKHton ki sada hun
main roz nikal paDta hun anjaane safar par
manzil ke qarib aa ke bhi manzil se juda hun
har subh nae karb ke chehron se mulaqat
har sham bichhaDne ka sabab puchh raha hun
ye KHun mein Dube hue masum farishte
KHamosh larazte hue honTon ki dua hun
is darja hun sahma hua suraj ki tapish se
girti hui diwar ke sae mein khaDa hun
ai KHak-e-watan ab to wafaon ka sila de
main TuTti sanson ki fasilon pe khaDa hun
palkon pe sajae hue sachchai ki shamen
na-karda gunahon ki saza kaT raha hun
dastar salamat na ridaen na qabaen
har lamha sulagte hue KHwabon ki chita hun
(863) Peoples Rate This