Meri Dua Hai
KHala ke gahre samundaron mein
agar kahin koi hai jazira
jahan koi sans le raha hai
jahan koi dil dhaDak raha hai
jahan zehanat ne ilm ka jam pi liya hai
jahan ke basi
KHala ke gahre samundaron mein
utarne ko hain apne beDe
talash karne koi jazira
jahan koi sans le raha hai
jahan koi dil dhaDak raha hai
meri dua hai
ki us jazire mein rahne walon ke jism ka rang
is jazire ke rahne walon ke jism ke jitne rang hain
in se muKHtalif ho
badan ki haiat bhi muKHtalif
aur shakl-o-surat bhi muKHtalif ho
meri dua hai
agar hai un ka bhi koi mazhab
to is jazire ke mazhabon se wo muKHtalif ho
meri dua hai
ki is jazire ki sab zabanon se muKHtalif ho zaban un ki
meri dua hai
KHala ke gahre samundaron se guzar ke
ek din
is ajnabi nasl ke jahazi
KHalai beDe mein
is jazire tak aaen
hum un ke mezban hon
hum un ko hairat se dekhte hon
wo pas aa kar
hamein ishaaron se ye bataen
ki un se hum itne muKHtalif hain
ki un ko lagta hai
is jazire ke rahne wale
sab ek se hain
meri dua hai
ki is jazire ke rahne wale
us ajnabi nasl ke kahe ka yaqin kar len
(2255) Peoples Rate This