Kaenat
main kitni sadiyon se tak raha hun
ye kaenat aur is ki wusat
tamam hairat tamam hairat
ye kya tamasha ye kya saman hai
ye kya ayan hai ye kya nihan hai
athah saghar hai ek KHala ka
na jaane kab se na jaane kab tak
kahan talak hai
hamari nazron ki intiha hai
jise samajhte hain hum falak hai
ye raat ka chhalni chhalni sa kala aasman hai
ki jis mein jugnu ki shakl mein
be-shumar suraj pighal rahe hain
shahab-e-saqib hai
ya hamesha ki ThanDi kali fazaon mein
jaise aag ke tir chal rahe hain
karoD-ha nuri barson ke faslon mein phaili
ye kahkashaen
KHala ghere hain
ya KHalaon ki qaid mein hai
ye kaun kis ko liye chala hai
har ek lamha
karoDon milon ki jo masafat hai
in ko aaKHir kahan hai jaana
agar hai in ka kahin koi aaKHiri Thikana
to wo kahan hai
jahan kahin hai
sawal ye hai
wahan se aage koi zamin hai
koi falak hai
agar nahin hai
to ye nahin kitni dur tak hai
main kitni sadiyon se tak raha hun
ye kaenat aur is ki wusat
tamam hairat tamam hairat
sitare jin ki safir kirnen
karoDon barson se rah mein hai
zamin se milne ki chah mein hai
kabhi to aa ke karengi ye meri aankhen raushan
kabhi to aaegi mere hathon mein raushni ka ek aisa daman
ki jis ko thame main ja ke dekhunga in KHalaon ke
phaile aangan
kabhi to mujh ko ye kaenat apne raaz khul ke
suna hi degi
ye apna aaghaz apna anjam
mujh ko ek din bata hi degi
agar koi waiz apne mimbar se
naKHwat-amez lahze mein ye kahe
ki tum to kabhi samajh hi nahin sakoge
ki is qadar hai ye baat gahri
to koi puchhe
jo main na samjha
to kaun samjhaega
aur jis ko kabhi na koi samajh sake
aisi baat to phir fuzul Thahri
(1964) Peoples Rate This