Jahannami
main aksar sochta hun
zehn ki tarik galiyon mein
dahakta aur pighalta
dhire dhire aage baDhta
gham ka ye lawa
agar chahun
to ruk sakta hai
mere dil ki kachchi khaal par rakkha ye angara
agar chahun
to bujh sakta hai
lekin
phir KHayal aata hai
mere sare rishton mein
paDi sari daraDon se
guzar ke aane wali barf se ThanDi hawa
aur meri har pahchan par sardi ka ye mausam
kahin aisa na ho
is jism ko is ruh ko hi munjamid kar de
main aksar sochta hun
zehn ki tarik galiyon mein
dahakta aur pighalta
dhire dhire aage baDhta
gham ka ye lawa
aziyyat hai
magar phir bhi ghanimat hai
isi se ruh mein garmi
badan mein ye hararat hai
ye gham meri zarurat hai
main apne gham se zinda hun
(1589) Peoples Rate This