Ham-sae Ke Nam
kuchh tum ne kaha
kuchh main ne kaha
aur baDhte baDhte baat baDhi
dil ub gaya
dil Dub gaya
aur gahri kali raat baDhi
tum apne ghar
main apne ghar
sare darwaze band kiye
baiThe hain kaDwe ghunT piye
oDhe hain ghusse ki chadar
kuchh tum socho
kuchh main sochun
kyun unchi hain ye diwaren
kab tak hum in par sar maren
kab tak ye andhere rahne hain
kina ke ye ghere rahne hain
chalo apne darwaze kholen
aur ghar ke bahar aaen hum
dil Thahre jahan hain barson se
wo ek nukkaD hai nafrat ka
kab tak is nukkaD par Thahren
ab is ke aage jaen hum
bas thoDi dur ek dariya hai
jahan ek ujala bahta hai
wan lahron lahron hain kirnen
aur kirnon kirnon hain lahren
in kirnon mein
in lahron mein
hum dil ko KHub nahane den
sinon mein jo ek patthar hai
us patthar ko ghul jaane den
dil ke ek kone mein bhi chhupi
gar thoDi si bhi nafrat hai
is nafrat ko dhul jaane den
donon ki taraf se jis din bhi
izhaar nadamat ka hoga
tab jashn mohabbat ka hoga
(1736) Peoples Rate This