Ek Shaer Dost Se
ghar mein baiThe hue kya likhte ho
bahar niklo
dekho kya haal hai duniya ka
ye kya aalam hai
suni aankhen hain
sabhi KHushiyon se KHali jaise
aao in aankhon mein KHushiyon ki chamak hum likh den
ye jo mathe hain
udasi ki lakiron ke tale
aao in mathon pe qismat ki damak hum likh den
chehron se gahri ye mayusi miTa ke
aao
in pe ummid ki ek ujli kiran hum likh den
dur tak jo hamein virane nazar aate hain
aao viranon par ab ek chaman hum likh den
lafz-dar-lafz samundar sa bahe
mauj-ba-mauj
bahr-e-naghmat mein
har koh-e-sitam hal ho jae
duniya duniya na rahe ek ghazal ho jae
(1874) Peoples Rate This