Ek Mohre Ka Safar
jab wo kam-umr hi tha
us ne ye jaan liya tha ki agar jina hai
baDi chaalaki se jina hoga
aankh ki aaKHiri had tak hai bisat-e-hasti
aur wo mamuli sa ek mohra hai
ek ek KHana bahut soch ke chalna hoga
bazi aasan nahin thi us ki
dur tak chaaron taraf phaile the
mohre
jallad
nihayat hi saffak
saKHt be-rahm
bahut hi chaalak
apne qabze mein liye
puri bisat
us ke hisse mein faqat mat liye
wo jidhar jata
use milta tha
har naya KHana nai ghat liye
wo magar bachta raha
chalta raha
ek ghar
dusra ghar
tisra ghar
pas aaya kabhi auron ke
kabhi dur hua
wo magar bachta raha
chalta raha
go ki mamuli sa mohara tha magar jit gaya
yun wo ek roz baDa mohara bana
ab wo mahfuz hai ek KHane mein
itna mahfuz hai ek KHane mein
itna mahfuz ki dushman to alag
dost bhi pas nahin aa sakte
us ke ek hath mein hai jit us ki
dusre hath mein tanhai hai
(2147) Peoples Rate This