Bargad
mere raste mein ek moD tha
aur us moD par
peD tha ek bargad ka
uncha
ghana
jis ke sae mein mera bahut waqt bita hai
lekin hamesha yahi main ne socha
ki raste mein ye moD hi is liye hai
ki ye peD hai
umr ki aandhiyon mein
wo peD ek din gir gaya hai
moD lekin hai ab tak wahin ka wahin
dekhta hun to
aage bhi raste mein
bas moD hi moD hain
peD koi nahin
raston mein mujhe yun to mil jate hain mehrban
phir bhi har moD par
puchhta hai ye dil
wo jo ek chhanw thi
kho gai hai kahan
(1805) Peoples Rate This