Banjara
main banjara
waqt ke kitne shahron se guzra hun
lekin
waqt ke is ek shahr se jate jate muD ke dekh raha hun
soch raha hun
tum se mera ye nata bhi TuT raha hai
tum ne mujh ko chhoDa tha jis shahr mein aa kar
waqt ka ab wo shahr bhi mujh se chhuT raha hai
mujh ko widaa karne aae hain
is nagri ke sare basi
wo sare din
jin ke kandhe par soti hai
ab bhi tumhaari zulf ki KHushbu
sare lamhe
jin ke mathe par raushan
ab bhi tumhaare lams ka Tika
nam aankhon se
gum-sum mujh ko dekh rahe hain
mujh ko in ke dukh ka pata hai
in ko mere gham ki KHabar hai
lekin mujh ko hukm-e-safar hai
jaana hoga
waqt ke agle shahr mujhe ab jaana hoga
waqt ke agle shahr ke sare bashinde
sab din sab raaten
jo tum se na-waqif honge
wo kab meri baat sunenge
mujh se kahenge
jao apni rah lo rahi
hum ko kitne kaam paDe hain
jo biti so bit gai
ab wo baaten kyun dohraate ho
kandhe par ye jholi rakkhe
kyun phirte ho kya pate ho
main be-chaara
ek banjara
aawara phirte phirte jab thak jaunga
tanhai ke Tile par ja kar baiThunga
phir jaise pahchan ke mujh ko
ek banjara jaan ke mujh ko
waqt ke agle shahr ke sare nanhe-munne bhole lamhe
nange panw
dauDe dauDe bhage bhage aa jaenge
mujh ko gher ke baiThenge
aur mujh se kahenge
kyun banjare
tum to waqt ke kitne shahron se guzre ho
un shahron ki koi kahani hamein sunao
un se kahunga
nanhe lamho!
ek thi rani
sun ke kahani
sare nanhe lamhe
ghamgin ho kar mujh se ye puchhenge
tum kyun in ke shahr na aain
lekin un ko bahla lunga
un se kahunga
ye mat puchho
aankhen mundo
aur ye socho
tum hotin to kaisa hota
tum ye kahtin
tum wo kahtin
tum is baat pe hairan hotin
tum us baat pe kitni hanstin
tum hotin to aisa hota
tum hotin to waisa hota
dhire dhire
mere sare nanhe lamhe
so jaenge
aur main
phir haule se uTh kar
apni yaadon ki jholi kandhe par rakh kar
phir chal dunga
waqt ke agle shahr ki jaanib
nanhe lamhon ko samjhane
bhule lamhon ko bahlane
yahi kahani phir dohrane
tum hotin to aisa hota
tum hotin to waisa hota
(5705) Peoples Rate This