Aansu
kisi ka gham sun ke
meri palkon pe
ek aansu jo aa gaya hai
ye aansu kya hai
ye aansu kya ek gawah hai
meri dard-mandi ka meri insan-dosti ka
ye aansu kya ek subut hai
meri zindagi mein KHulus ki ek raushni ka
ye aansu kya ye bata raha hai
ki mere sine mein ek hassas dil hai
jis ne kisi ki dil-doz dastan jo suni
to sun ke taDap uTha hai
parae shaalon mein jal raha hai
pighal raha hai
magar mein phir KHud se puchhta hun
ye dastan to abhi suni hai
ye aansu bhi kya abhi Dhala hai
ye aansu
kya main ye samjhun
pahle kahin nahin tha
mujhe to shak hai ki ye kahin tha
ye mere dil aur meri palkon ke darmiyan
ek jo fasla hai
jahan KHayalon ke shahr zinda hain
aur KHwabon ki turbaten hain
jahan mohabbat ke ujDe baghon mein
talKHiyon ke babul hain
aur kuchh nahin hai
jahan se aage hain
uljhanon ke ghanere jangal
ye aansu
shayad bahut dinon se
wahin chhupa tha
jinhon ne is ko janam diya tha
wo ranj to maslahat ke hathon
na jaane kab qatl ho gae the
to karta phir kis pe naz aansu
ki ho gaya be-jawaz aansu
yatim aansu yasir aansu
na mo'tabar tha
na raston se hi ba-KHabar tha
to chalte chalte
wo tham gaya tha
ThiThak gaya tha
jhijhak gaya tha
idhar se aaj ek kisi ke gham ki
kahani ka karwan jo guzra
yatim aansu ne jaise jaana
ki is kahani ki sarparasti mile
to mumkin hai
rah pana
to ek kahani ki ungli thame
usi ke gham ko rumal karta
isi ke bare mein
jhuTe sachche sawal karta
ye meri palkon tak aa gaya hai
(2811) Peoples Rate This